CHAMKA MAHE NOOR KA HILAL MARHABA

18/11/2011 05:05

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,
Ya Habiballah Marhaba Marhaba.
Be kason se he jhin e pyaar wohi aaye hein,
Jo do aalam ke hein gham khaar wohi aayehein.
Ek nazar asmaan pe daal, Marhaba,
Chamka mahe noor ka hilal, Marhaba
Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,
Ya Habiballah Marhaba Marhaba.
Jhande lagao galiyan sajao,
Karlo charaaghan ghar jagmagao,
Razi ho ga Rab-e-Zuljalal, Marhaba.
Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,
Ya Habiballah Marhaba Marhaba.
Mehfil sajaaye naatein sunaaye,
Aaqa ki aamad ki dhoomein machaaye,
Rawz-o-shab yehi ho apna haal, Marhaba.
Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,
Ya Habiballah Marhaba Marhaba.
Laaraib nabiyon kay saalar aaye,
Aaye do aalam ke gham khaar aaye,
Shahkaar-e-Rab-e-Zuljalal, Marhaba.
Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,
Ya Habiballah Marhaba Marhaba.
Aashiq ke dil jagmagane lage hein,
Dekho zara muskurane lage hein,
Deedni hein unke khad-o-khaal, Marhaba.
Ya Rasulallah Marhaba Marhaba
Ya Habiballah Marhaba Marhaba
Sadqa wiladat ka jalwa dikha do,
Dil ki lagi ab to aaqa bujha do,
Dikhla do apna ab jamaal, Marhaba.
Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,
Ya Habiballah Marhaba Marhaba.
Jood-o-sakhawat hai aadat tumhari,
Phailaaye daaman khare hein bhikari,
Kar do karam amna ka laal, Marhaba.
Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,
Ya Habiballah Marhaba Marhaba.
Jaam-e-shahadat piya he jino ne,
Ahle-sunan ko jila di uno ne,
Yaad aayenge wo har saal, Marhaba.
Ya Rasulallah Marhaba Marhaba
Ya Habiballah Marhaba Marhaba
Shaadi ke naghme sunate rahenge,
Jashn-e-wiladat manaate rahenge,
Waar denge tum pe jaan-o-maal, Marhaba.
Ya Rasulallah Marhaba Marhaba
Ya Habiballah Marhaba Marhaba
Parhne laga jab Ubaid un ki naatein,
Ho ne lageen chaar soo us ki baatein,
Faiz-e-Raza ka he sab kamaal, Marhaba.
Ya Rasulallah Marhaba Marhaba
Ya Habiballah Marhaba Marhaba

—————

Back