DARE NABI PAR

18/11/2011 05:57

Dare nabi (s.a.w) par para rahoon ga pare hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga
Qilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kam hoga
Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga
Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab
Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga
Jo dil se hai ma’il-e-payambar yeh is ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga
Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai
Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga

—————

Back