E ISHQ E NABI MERAY

18/11/2011 06:33

E ishq-e-Nabi mere dil mein bhi sama jaana
Mujh ko bhi Muhammad (s.a.w) ka deewana bana jaana
Jo rang ke Jaami par Rumi pe charaaya tha
Uss rang ki kuch rangat mujh pe bhi chara jaana
Mujh ko bhi Muhammad (s.a.w) ka deewana bana jaana
Qudrat ki nigahein bhi jis chehre ko taktee thi
Uss Chehra-e-Anwar ka deedar kara jaana
Mujh ko bhi Muhammad (s.a.w) ka deewana bana jana
Jis khwaab mein ho jaaye deedar e Nabi hasil
E ishq kabhi mujh ko neend aisi sula jaana
Mujh ko bhi Muhammad (s.a.w) ka deewana bana jaana
Deedar e Muhammad (s.a.w) ki hasrat to rahe baaqi
Juz is key har ek hasrat is dil se mita jaana
Duniya se Riyaaz ho jab uqba ki taraf jaana
Daagh e ghame Ahmad se seene ko saja jaana
Mujh ko bhi Muhammad (s.a.w) ka deewana bana jaana
E ishq-e-Nabi mere dil mein bhi sama jaana

—————

Back